Duniyaa men mohabbat vaalon kee taqdeer

दुनिया में मोहब्बत वालों की तक़दीर्
Year
Language

दुनिया में मोहब्बत वालों की तक़दीर बदलती रहती है -2
शीशा तो वही रहता है मगर तस्वीर बदलती रहती है
दुनिया में मोहब्बत …

खोए थे ख़ुशी के ख़्वाब में हम
जब आँख खुली कुछ भी ना रहा -2
उल्फ़त के सुनहरे ख़्वाबों की ताबीर बदलती रहती है
शीशा तो वही …

दुनिया है ये वो दुनिया जिसमें
एक दर्द मिटे एक दर्द मिले -2
क़ैदी तो वही रहता है मगर ज़ंजीर बदलती रहती है
शीशा तो वही …

हम तो ये दुआएँ करते थे
आबाद रहे दुनिया अपनी -2
लेकिन ये हमें मालूम न था तासीर बदलती रहती है
शीशा तो वही …

duniyā meṅ mohabbat vāloṅ kī taqdīr badaltī rahtī hai -2
śhīśhā to vahī rahtā hai magar tasvīr badaltī rahtī hai
duniyā meṅ mohabbat …

khoe the khuśhī ke khvāb meṅ ham
jab āṇkh khulī kuchh bhī nā rahā -2
ulfat ke sunahre khvāboṅ kī tābīr badaltī rahtī hai
śhīśhā to vahī …

duniyā hai ye vo duniyā jismeṅ
ek dard miṭe ek dard mile -2
qaidī to vahī rahtā hai magar zaṅjīr badaltī rahtī hai
śhīśhā to vahī …

ham to ye duāeṇ karte the
ābād rahe duniyā apnī -2
lekin ye hameṅ mālūm na thā tāsīr badaltī rahtī hai
śhīśhā to vahī …