Duniyaa dee thaa thaa thaa ... meraa naheen koee thaur thikaanaa

दुनिया दी ठा ठा ठा ... मेरा नहीं कोई ठौर ठिकाना
Work
Year
Language

ठा ठा ठा दुनिया दी ठा ठा ठा
मैं चला ओ मैं चला
मेरा नहीं कोई ठौर ठिकाना
मैं गलियों का बंजारा
मैं चला हो मैं चला
मेरे कदमों में सारा ज़माना
मैं फिरता हूँ आवारा
ठा ठा ठा दुनिया …

चल के कभी ना रुकें मेरे कदम
यहां लाऊंगा एक रोज़ मैं धरती पे आसमां
मैं उम्मीदों का राग राग मेरे साथ मुसाफ़िर भाग भाग
नौजवानों दुनिया दी ठा ठा ठा
चलो दीवानों दुनिया दी ठा ठा ठा
मुझको है बढ़ते जाना कभी भी ना मैं हारा
मेरा नहीं कोई …

मुझसे कभी ना पूछना घर है मेरा कहां
सारे जहां का हूँ मैं सारा जहां मेरा
मैं हूँ पानी का रंग रंग दुनिया है मेरे संग संग
होए दिल कहे जो दुनिया दी ठा ठा ठा
मैं करूं वो दुनिया दी ठा ठा ठा
मैं खुशियों का उड़ता बादल मैं प्यार का अंगारा
मेरा नहीं कोई …

ṭhā ṭhā ṭhā duniyā dī ṭhā ṭhā ṭhā
maiṅ chalā o maiṅ chalā
merā nahīṅ koī ṭhaur ṭhikānā
maiṅ galiyoṅ kā baṅjārā
maiṅ chalā ho maiṅ chalā
mere kadmoṅ meṅ sārā zamānā
maiṅ phirtā hūṇ āvārā
ṭhā ṭhā ṭhā duniyā …

chal ke kabhī nā rukeṅ mere kadam
yahāṅ lāūṅgā ek roz maiṅ dhartī pe āsmāṅ
maiṅ ummīdoṅ kā rāg rāg mere sāth musāfir bhāg bhāg
naujvānoṅ duniyā dī ṭhā ṭhā ṭhā
chalo dīvānoṅ duniyā dī ṭhā ṭhā ṭhā
mujhko hai baṛhte jānā kabhī bhī nā maiṅ hārā
merā nahīṅ koī …

mujhse kabhī nā pūchhnā ghar hai merā kahāṅ
sāre jahāṅ kā hūṇ maiṅ sārā jahāṅ merā
maiṅ hūṇ pānī kā raṅg raṅg duniyā hai mere saṅg saṅg
hoe dil kahe jo duniyā dī ṭhā ṭhā ṭhā
maiṅ karūṅ vo duniyā dī ṭhā ṭhā ṭhā
maiṅ khuśhiyoṅ kā uṛtā bādal maiṅ pyār kā aṅgārā
merā nahīṅ koī …