दुनिया बनाने वाले, क्या तेरे मन में समाई
(दुनिया बनाने वाले, क्या तेरे मन में समाई
काहेको दुनिया बनाई, तूने काहेको दुनिया बनाई ) - 2
काहे बनाए तूने माटी के पुतले,
धरती ये प्यारी प्यारी मुखड़े ये उजले
काहे बनाया तूने दुनिया का खेला - 2
जिसमें लगाया जवानी का मेला
गुप-चुप तमाशा देखे, वाह रे तेरी खुदाई
काहेको दुनिया बनाई, तूने काहेको दुनिया बनाई …
तू भी तो तड़पा होगा मन को बनाकर,
तूफ़ां ये प्यार का मन में छुपाकर
कोई छवि तो होगी आँखों में तेरी - 2
आँसू भी छलके होंगे पलकों से तेरी
बोल क्या सूझी तुझको, काहेको प्रीत जगाई
काहेको दुनिया बनाई, तूने काहेको दुनिया बनाई …
प्रीत बनाके तूने जीना सिखाया, हंसना सिखाया,
रोना सिखाया
जीवन के पथ पर मीत मिलाए - 2
मीत मिलाके तूने सपने जगाए
सपने जगाके तूने, काहे को दे दी जुदाई
काहेको दुनिया बनाई, तूने काहेको दुनिया बनाई …
(duniyā banāne vāle, kyā tere man meṅ samāī
kāheko duniyā banāī, tūne kāheko duniyā banāī ) - 2
kāhe banāe tūne māṭī ke putle,
dhartī ye pyārī pyārī mukhaṛe ye ujle
kāhe banāyā tūne duniyā kā khelā - 2
jismeṅ lagāyā javānī kā melā
gup-chup tamāśhā dekhe, vāh re terī khudāī
kāheko duniyā banāī, tūne kāheko duniyā banāī …
tū bhī to taṛpā hogā man ko banākar,
tūfāṅ ye pyār kā man meṅ chhupākar
koī chhavi to hogī āṇkhoṅ meṅ terī - 2
āṇsū bhī chhalke hoṅge palkoṅ se terī
bol kyā sūjhī tujhko, kāheko prīt jagāī
kāheko duniyā banāī, tūne kāheko duniyā banāī …
prīt banāke tūne jīnā sikhāyā, haṅsnā sikhāyā,
ronā sikhāyā
jīvan ke path par mīt milāe - 2
mīt milāke tūne sapne jagāe
sapne jagāke tūne, kāhe ko de dī judāī
kāheko duniyā banāī, tūne kāheko duniyā banāī …