दोस्त दोस्त ना रहा, प्यार प्यार ना रहा
दोस्त दोस्त ना रहा
प्यार प्यार ना रहा
ज़िंदगी हमें तेरा
ऐतबार ना रहा, ऐतबार ना रहा
अमानतें मैं प्यार की
गया था जिसको सौंप कर
वो मेरे दोस्त तुम ही थे
तुम्हीं तो थे
जो ज़िंदगी की राह मे
बने थे मेरे हमसफ़र
वो मेरे दोस्त तुम ही थे
तुम्हीं तो थे
सारे भेद खुल गए
राज़दार ना रहा
ज़िंदगी हमें तेरा
ऐतबार ना रहा, ऐतबार ना रहा
दोस्त दोस्त ना रहा …
सफ़र के वक़्त में पलक पे
मोतियों को तौलती
वो तुम ना थी तो कौन था
तुम्हीं तो थी
नशे की रात ढल गयी
अब खुमार ना रहा
ज़िंदगी हमें तेरा
ऐतबार ना रहा, ऐतबार ना रहा
दोस्त दोस्त ना रहा …
dost dost nā rahā
pyār pyār nā rahā
ziṅdgī hameṅ terā
aitbār nā rahā, aitbār nā rahā
amānteṅ maiṅ pyār kī
gayā thā jisko sauṅp kar
vo mere dost tum hī the
tumhīṅ to the
jo ziṅdgī kī rāh me
bane the mere hamasafar
vo mere dost tum hī the
tumhīṅ to the
sāre bhed khul gae
rāzdār nā rahā
ziṅdgī hameṅ terā
aitbār nā rahā, aitbār nā rahā
dost dost nā rahā …
safar ke vaqt meṅ palak pe
motiyoṅ ko taultī
vo tum nā thī to kaun thā
tumhīṅ to thī
naśhe kī rāt ḍhal gayī
ab khumār nā rahā
ziṅdgī hameṅ terā
aitbār nā rahā, aitbār nā rahā
dost dost nā rahā …