Door vaadiyon se aa rahee hai ... aate jaate dil ko deevaanaa

दूर वादियों से आ रही है ... आते जाते दिल को दीवाना
Year
Language

दूर वादियों से आ रही है पायलों की छमछम
इन हवाओँ में थिरक रही है चूड़ियों की सरगम
एक चेहरा जो ख्वाबों ख़्यालों में आए
आते जाते दिल को दीवाना बनाए
कोरे कोरे कागज पे लिखना सिखाए
धीरे धीरे मुझ को वो शायर बनाए हो
ना ना ना न न न न
ना न न न न न ना ना

वो तो सुबह की पहली किरन है
वो आबशारों में खिलता कंवल
उस के लिए मैं गाता रहूँगा
वो है मेरी ज़िंदगी की गज़ल
आ चोरी चोरी इन धड़कनों में समाए
आते जाते दिल को दीवाना …

वो तो सुरों की बहती हवा है
वो मेरे गीतों की आवाज़ है
मेरे लबों पे उस की कहानी
वो तो मोहब्बत भरा साज़ है
आ वो तो मुझ को चाहत का राग सुनाए
आते जाते दिल को दीवाना …

dūr vādiyoṅ se ā rahī hai pāyloṅ kī chhamchham
in havāoṇ meṅ thirak rahī hai chūṛiyoṅ kī sargam
ek chehrā jo khvāboṅ khyāloṅ meṅ āe
āte jāte dil ko dīvānā banāe
kore kore kāgaj pe likhnā sikhāe
dhīre dhīre mujh ko vo śhāyar banāe ho
nā nā nā na na na na
nā na na na na na nā nā

vo to subah kī pahlī kiran hai
vo ābśhāroṅ meṅ khiltā kaṅval
us ke lie maiṅ gātā rahūṇgā
vo hai merī ziṅdgī kī gazal
ā chorī chorī in dhaṛaknoṅ meṅ samāe
āte jāte dil ko dīvānā …

vo to suroṅ kī bahtī havā hai
vo mere gītoṅ kī āvāz hai
mere laboṅ pe us kī kahānī
vo to mohabbat bharā sāz hai
ā vo to mujh ko chāhat kā rāg sunāe
āte jāte dil ko dīvānā …