दूर रहकर न करो बात, करीब आ जाओ
दूर रह कर न करो बात, क़रीब आ जाओ
याद रह जाएगी ये रात, क़रीब आ जाओ
एक मुद्दत से तमन्ना थी तुम्हें छूने की
आज बस में नहीं जज़बात क़रीब आ जाओ
सर्द झोकों से भड़कते हैं बदन में शोले
जान ले लेगी ये बरसात, क़रीब आ जाओ
इस कदर हमसे झिझकने की ज़रूरत क्या है
ज़िंदगी भर का है अब साथ क़रीब आ जाओ
dūr rah kar na karo bāt, qarīb ā jāo
yād rah jāegī ye rāt, qarīb ā jāo
ek muddat se tamannā thī tumheṅ chhūne kī
āj bas meṅ nahīṅ jazbāt qarīb ā jāo
sard jhokoṅ se bhaṛakte haiṅ badan meṅ śhole
jān le legī ye barsāt, qarīb ā jāo
is kadar hamse jhijhakne kī zarūrat kyā hai
ziṅdgī bhar kā hai ab sāth qarīb ā jāo