Do sitaaron kaa zameen pe hai milan aaj kee raat

दो सितारों का ज़मीं पे है मिलन आज की रात्
Work
Year
Language

र: मुस्कुराता है उम्मीदों का चमन आज की रात
ल: सारी दुनिया नज़र आती है दुल्हन आज की रात
दोनो: दो सितारों का ज़मीं पर है मिलन आज की रात
आज की रात …

र: हुस्न वाले तेरी दुनिया में कोई आया है
तेरे दीदार की हसरत भी कोई लाया है
तोड़ दे तोड़ दे पर्दे का चलन आज की रात
मुस्कुराता है उम्मीदों का चमन आज की रात
दोनो: दो सितारों क ज़मीं पर …

ल: जिन से मिलने की थी तमन्ना वो ही आते हैं
चाँद तारे मेरी राहों में बिछे जाते हैं
चूमता है तेरे कदमों को गगन आज की रात
सारी दुनिया नज़र आती है दुल्हन आज की रात
दोनो: दो सितारों क ज़मीं पर …

ra: muskurātā hai ummīdoṅ kā chaman āj kī rāt
la: sārī duniyā nazar ātī hai dulhan āj kī rāt
dono: do sitāroṅ kā zamīṅ par hai milan āj kī rāt
āj kī rāt …

ra: husn vāle terī duniyā meṅ koī āyā hai
tere dīdār kī hasrat bhī koī lāyā hai
toṛ de toṛ de parde kā chalan āj kī rāt
muskurātā hai ummīdoṅ kā chaman āj kī rāt
dono: do sitāroṅ ka zamīṅ par …

la: jin se milne kī thī tamannā vo hī āte haiṅ
chāṇd tāre merī rāhoṅ meṅ bichhe jāte haiṅ
chūmtā hai tere kadmoṅ ko gagan āj kī rāt
sārī duniyā nazar ātī hai dulhan āj kī rāt
dono: do sitāroṅ ka zamīṅ par …