Do sitaaron kaa jameenpar hai milan aaj kee raat

दो सितारों का जमींपर है मिलन आज की रात
Work
Year
Language

दो सितारों का ज़मीन पर है मिलन आज की रात
मुस्कुराता है उम्मीदों का चमन आज की रात
रंग लाई है मेरे दिल की लगन आज की रात
सारी दुनिया नज़र आती है दुल्हन आज की रात

हुस्नवाले तेरी दुनिया में कोई आया है
तेरे दीदार की हसरत भी कोई लाया है
तोड़ दे, तोड़ दे, परदे का चलन आज की रात

जिन से मिलने की तमन्ना थी वही आते हैं
चाँद तारें मेरी राहों में बिछे जाते हैं
चूमता है मेरे कदमों को गगन आज की रात

do sitāroṅ kā zamīn par hai milan āj kī rāt
muskurātā hai ummīdoṅ kā chaman āj kī rāt
raṅg lāī hai mere dil kī lagan āj kī rāt
sārī duniyā nazar ātī hai dulhan āj kī rāt

husnvāle terī duniyā meṅ koī āyā hai
tere dīdār kī hasrat bhī koī lāyā hai
toṛ de, toṛ de, parde kā chalan āj kī rāt

jin se milne kī tamannā thī vahī āte haiṅ
chāṇd tāreṅ merī rāhoṅ meṅ bichhe jāte haiṅ
chūmtā hai mere kadmoṅ ko gagan āj kī rāt