Do rang duniyaa ke aur do raaste

दो रंग दुनिया के और दो रास्ते
Work
Year
Language

दो रंग दुनिया के और दो रास्ते -2
दो रूप जीवन के जीने के वास्ते
दो रंग दुनिया के और दो रास्ते

सोच समझ के पाँव रखे
समझा दो हर दीवाने को -2
इक रस्ता मन्दिर को जाये
इक जाये मैख़ाने को -2
रास्ता भूल न जाये
राही धोखा ना खाये

दो रंग दुनिया के और दो रास्ते
दो रूप जीवन के जीने के वास्ते
दो रंग दुनिया के और दो रास्ते

एक हैं ऐसे लोग जो
औरों की ख़ातिर जीते हैं -2
दूसरे वो जो अपनी ख़ातिर
अपनों का ख़ून भी पीते हैं -2
कोई फूल खिलाये
कोई काँटे बिखराये

दो रंग दुनिया के और दो रास्ते
दो रूप जीवन के जीने के वास्ते
दो रंग दुनिया के और दो रास्ते
और दो रास्ते -3

do raṅg duniyā ke aur do rāste -2
do rūp jīvan ke jīne ke vāste
do raṅg duniyā ke aur do rāste

soch samajh ke pāṇv rakhe
samjhā do har dīvāne ko -2
ik rastā mandir ko jāye
ik jāye maikhāne ko -2
rāstā bhūl na jāye
rāhī dhokhā nā khāye

do raṅg duniyā ke aur do rāste
do rūp jīvan ke jīne ke vāste
do raṅg duniyā ke aur do rāste

ek haiṅ aise log jo
auroṅ kī khātir jīte haiṅ -2
dūsre vo jo apnī khātir
apnoṅ kā khūn bhī pīte haiṅ -2
koī phūl khilāye
koī kāṇṭe bikhrāye

do raṅg duniyā ke aur do rāste
do rūp jīvan ke jīne ke vāste
do raṅg duniyā ke aur do rāste
aur do rāste -3