Do qadam tum bhee chalo do qadam ham bhee chalen

दो क़दम तुम भी चलो दो क़दम हम भी चलें
Year
Language

ल: दो क़दम तुम भी चलो दो क़दम हम भी चलें
मु: दो क़दम तुम भी चलो दो क़दम हम भी चलें
मंज़िलें
ल: प्यार की
दो: मंज़िलें प्यार की आएँगी चलते-चलते
दो क़दम तुम …

ल: कल तक तो अंजान थीं हमसे राहें प्यार की
मु: लेकिन अपनी हो गईं अब तो बाँहें प्यार की
ल: अब हमें
मु: ये जहाँ
ल: अब हमें ये जहाँ देखेगा जलते-जलते
दो: दो क़दम तुम …

मु: मेरी जो भी सोच थी उसका ही तुम रूप हो
ल: मैं हूँ नदिया तुम घटा मैं छाया तुम धूप हो
मे: प्यार ये
ल: हो जवाँ
मे: प्यार अब ये हो जवाँ आँखों में पलते-पलते
दो: दो क़दम तुम …

ल: ऐसी ही इक शाम थी देखा था जब आपको
मु: तुम इस ढलती शाम को रोको तो कुछ बात हो
ल: जान से
मु: जाएँगे
ल: जान से जाएँगे शाम के ढलते-ढलते
दो: दो क़दम तुम …

la: do qadam tum bhī chalo do qadam ham bhī chaleṅ
mu: do qadam tum bhī chalo do qadam ham bhī chaleṅ
maṅzileṅ
la: pyār kī
do: maṅzileṅ pyār kī āeṇgī chalte-chalte
do qadam tum …

la: kal tak to aṅjān thīṅ hamse rāheṅ pyār kī
mu: lekin apnī ho gaīṅ ab to bāṇheṅ pyār kī
la: ab hameṅ
mu: ye jahāṇ
la: ab hameṅ ye jahāṇ dekhegā jalte-jalte
do: do qadam tum …

mu: merī jo bhī soch thī uskā hī tum rūp ho
la: maiṅ hūṇ nadiyā tum ghaṭā maiṅ chhāyā tum dhūp ho
me: pyār ye
la: ho javāṇ
me: pyār ab ye ho javāṇ āṇkhoṅ meṅ palte-palte
do: do qadam tum …

la: aisī hī ik śhām thī dekhā thā jab āpko
mu: tum is ḍhaltī śhām ko roko to kuchh bāt ho
la: jān se
mu: jāeṇge
la: jān se jāeṇge śhām ke ḍhalte-ḍhalte
do: do qadam tum …