Do panchhee do tinke kaho le ke chale hain kahaan

दो पंछी दो तिनके कहो ले के चले हैं कहाँ
Work
Year
Language

आ: दो पंछी दो तिनके कहो ले के चले हैं कहाँ
कि: ये बनाएंगे एक आशियाँ -2

आ: ये तो अपनी ही धुन में गाएँ ऊँचे-ऊँचे उड़ते जाएँ
कि: इनकी मस्ती को और बढ़ाएँ सावन की ये हवाएँ
आ: मंज़िल के मतवाले देखो छूने चले आसमाँ
कि: ये बनाएंगे एक …

कि: एक फूलों भरी हो डाली और उस पर हो बसेरा
आ: कुछ ऐसा ही मीठा-मीठा है सपना तेरा मेरा
कि: ये सपना सच होगा कह रही धड़कनों की ज़ुबाँ
दो: हम बनाएंगे एक आशियाँ -2

ā: do paṅchhī do tinke kaho le ke chale haiṅ kahāṇ
ki: ye banāeṅge ek āśhiyāṇ -2

ā: ye to apnī hī dhun meṅ gāeṇ ūṇche-ūṇche uṛte jāeṇ
ki: inkī mastī ko aur baṛhāeṇ sāvan kī ye havāeṇ
ā: maṅzil ke matvāle dekho chhūne chale āsmāṇ
ki: ye banāeṅge ek …

ki: ek phūloṅ bharī ho ḍālī aur us par ho baserā
ā: kuchh aisā hī mīṭhā-mīṭhā hai sapnā terā merā
ki: ye sapnā sach hogā kah rahī dhaṛaknoṅ kī zubāṇ
do: ham banāeṅge ek āśhiyāṇ -2