Do nain haay haay tere do nain

दो नैन हाय हाय तेरे दो नैन्
Work
Year
Language

मु: दो नैन हाय हाय तेरे दो नैन -2
रंगीन छलकते प्याले कहने को हैं भोले-भाले
हैं आग लगाने वाले
दो नैन हाय हाय …

ऊ: दो नैन हाय हाय तेरे दो नैन -2
मासूम बड़े शर्मीले ये जाम जो कोई पी ले
जी भर के जहाँ में जी ले
दो नैन हाय हाय …

मु: सबसे निराले नैन हैं तेरे जिनके हैं दीवाने सभी
जाने कितने रूप हैं इनके ज़हर हैं कभी अमृत हैं कभी
जब चाहें शराबी कर दें हर चीज़ गुलाबी कर दें
इक पल में ख़राबी कर दें
दो नैन हाय हाय …

ऊ: उठते-झुकते इन नैनों में इकरार और इंकार भी है
बदली-बदली इन नज़रों में गुस्सा भी है प्यार भी है
पूछो न फ़साना इनका चूके न निशाना इनका
है आज ज़माना इनका
दो: दो नैन हाय हाय …

mu: do nain hāy hāy tere do nain -2
raṅgīn chhalakte pyāle kahne ko haiṅ bhole-bhāle
haiṅ āg lagāne vāle
do nain hāy hāy …

ū: do nain hāy hāy tere do nain -2
māsūm baṛe śharmīle ye jām jo koī pī le
jī bhar ke jahāṇ meṅ jī le
do nain hāy hāy …

mu: sabse nirāle nain haiṅ tere jinke haiṅ dīvāne sabhī
jāne kitne rūp haiṅ inke zahar haiṅ kabhī amṛt haiṅ kabhī
jab chāheṅ śharābī kar deṅ har chīz gulābī kar deṅ
ik pal meṅ kharābī kar deṅ
do nain hāy hāy …

ū: uṭhte-jhukte in nainoṅ meṅ ikrār aur iṅkār bhī hai
badlī-badlī in nazroṅ meṅ gussā bhī hai pyār bhī hai
pūchho na fasānā inkā chūke na niśhānā inkā
hai āj zamānā inkā
do: do nain hāy hāy …