Do deevaane shahar men, raat men yaa dopahar men

दो दीवाने शहर में, रात में या दोपहर में
Work
Year
Language

दो दीवाने शहर में
रात में या दोपहर में
आबोदाना ढूँढते हैं
एक आशियाना ढूँढते हैं

इन भूलभूलैय्या गलियों में अपना भी कोई एक घर होगा
अंबर पे खुलेगी खिड़की या खिड़की पे खुला अंबर होगा
अस्मानी रंग की आँखों में, बसने का बहाना ढूँढते हैं

जब तारें जमीन पर जलते हैं, आकाश जमीन हो जाता है
उस रात नहीं फिर घर जाता, वो चाँद यहीं सो जाता है
पलभर के लिए इन आँखों में, हम एक ज़माना ढूँढते हैं

do dīvāne śhahar meṅ
rāt meṅ yā dopahar meṅ
ābodānā ḍhūṇḍhte haiṅ
ek āśhiyānā ḍhūṇḍhte haiṅ

in bhūlbhūlaiyyā galiyoṅ meṅ apnā bhī koī ek ghar hogā
aṅbar pe khulegī khiṛkī yā khiṛkī pe khulā aṅbar hogā
asmānī raṅg kī āṇkhoṅ meṅ, basne kā bahānā ḍhūṇḍhte haiṅ

jab tāreṅ jamīn par jalte haiṅ, ākāśh jamīn ho jātā hai
us rāt nahīṅ phir ghar jātā, vo chāṇd yahīṅ so jātā hai
palbhar ke lie in āṇkhoṅ meṅ, ham ek zamānā ḍhūṇḍhte haiṅ