Do deevaane shahar men, raat men aur dopahar men

दो दीवाने शहर में, रात में और दोपहर में
Work
Year
Language

Dialogs first:
भू: एक दीवाना शहर में
रू: एक दीवाना नहीं, एक दीवानी भी
भू: Hmm? hmm-hmm. [it is hard to transcribe sounds! :-)]

then the song starts:
भू: दो दीवाने शहर में, रात में और दोपहर में
आब-ओ-दाना ढूँढते हैं एक आशियाना ढूँढते हैं
रू: दो दीवाने शहर में, रात में और दोपहर में
आब-ओ-दाना ढूँढते हैं एक आशियाना ढूँढते हैं

रू: इन भूलभुलइया गलियों में, अपना भी कोई घर होगा
अम्बर पे खुलेगी खिड़की या, खिड़की पे खुला अम्बर होगा
भू: इन भूलभुलइया गलियों में, अपना भी कोई घर होगा
अम्बर पे खुलेगी खिड़की या, खिड़की पे खुला अम्बर होगा
असमानी रंग की आँखों में
रू: असमानी या आसमानी?
भू: असमानी रंग की आँखों में
बसने का बहाना ढूंढते हैं, ढूंढते हैं
रू: आबोदाना ढूंढते हैं एक आशियाना ढूंढते हैं

भू: जब तारे ज़मीं पर चलते हैं
रू: तारे, और ज़मीं पर?
भू: of course
भू: जब तारे ज़मीं पर चलते हैं
रू: Hmmm hmmm
भू: आकाश ज़मीं हो जाता है
रू: आ आ आ
भू: उस रात नहीं फिर घर जाता, वो चांद यहीं सो जाता है
रू: जब तारे ज़मीं पर चलते हैं
आकाश ज़मीं हो जाता है
उस रात नहीं फिर घर जाता, वो चांद यहीं सो जाता है
भू: पल भर के लिये
रू: पल भर के लिये
भू: पल भर के लिये इन आँखों में हम एक ज़माना ढूंढते हैं, ढूंढते हैं
रू: आबोदाना ढूंढते हैं एक आशियाना ढूंढते हैं

Dialogs first:
bhū: ek dīvānā śhahar meṅ
rū: ek dīvānā nahīṅ, ek dīvānī bhī
bhū: Hmm? hmm-hmm. [it is hard to transcribe sounds! :-)]

then the song starts:
bhū: do dīvāne śhahar meṅ, rāt meṅ aur dopahar meṅ
āb-o-dānā ḍhūṇḍhte haiṅ ek āśhiyānā ḍhūṇḍhte haiṅ
rū: do dīvāne śhahar meṅ, rāt meṅ aur dopahar meṅ
āb-o-dānā ḍhūṇḍhte haiṅ ek āśhiyānā ḍhūṇḍhte haiṅ

rū: in bhūlbhulaiyā galiyoṅ meṅ, apnā bhī koī ghar hogā
ambar pe khulegī khiṛkī yā, khiṛkī pe khulā ambar hogā
bhū: in bhūlbhulaiyā galiyoṅ meṅ, apnā bhī koī ghar hogā
ambar pe khulegī khiṛkī yā, khiṛkī pe khulā ambar hogā
asmānī raṅg kī āṇkhoṅ meṅ
rū: asmānī yā āsmānī?
bhū: asmānī raṅg kī āṇkhoṅ meṅ
basne kā bahānā ḍhūṅḍhte haiṅ, ḍhūṅḍhte haiṅ
rū: ābodānā ḍhūṅḍhte haiṅ ek āśhiyānā ḍhūṅḍhte haiṅ

bhū: jab tāre zamīṅ par chalte haiṅ
rū: tāre, aur zamīṅ par?
bhū: of course
bhū: jab tāre zamīṅ par chalte haiṅ
rū: Hmmm hmmm
bhū: ākāśh zamīṅ ho jātā hai
rū: ā ā ā
bhū: us rāt nahīṅ phir ghar jātā, vo chāṅd yahīṅ so jātā hai
rū: jab tāre zamīṅ par chalte haiṅ
ākāśh zamīṅ ho jātā hai
us rāt nahīṅ phir ghar jātā, vo chāṅd yahīṅ so jātā hai
bhū: pal bhar ke liye
rū: pal bhar ke liye
bhū: pal bhar ke liye in āṇkhoṅ meṅ ham ek zamānā ḍhūṅḍhte haiṅ, ḍhūṅḍhte haiṅ
rū: ābodānā ḍhūṅḍhte haiṅ ek āśhiyānā ḍhūṅḍhte haiṅ