Din rhal jaae, haay raat naa jaae

दिन ढ़ल जाए, हाय रात ना जाए
Work
Year
Language

दिन ढल जाए, हाय रात ना जाए
तू तो न आए, तेरी याद सताए

प्यार में जिनके सब जग छोड़ा और हुए बदनाम
उनके ही हाथो हाल हुआ ये, बैठे हैं दिल को थाम
अपने कभी थे, अब हैं पराए

ऐसी ही रिमझीम, ऐसी फुहारें, ऐसी ही थी बरसात
खुद से जुदा और जग से पराए, हम दोनों थे साथ
फिर से वो सावन अब क्यों न आए?

दिल के मेरे पास हो इतनी, फिर भी हो कितनी दूर
तुम मुझसे, मैं दिल से परेशान, दोनों हैं मजबूर
ऐसे में किस को कौन मनाए?

din ḍhal jāe, hāy rāt nā jāe
tū to na āe, terī yād satāe

pyār meṅ jinke sab jag chhoṛā aur hue badnām
unke hī hātho hāl huā ye, baiṭhe haiṅ dil ko thām
apne kabhī the, ab haiṅ parāe

aisī hī rimjhīm, aisī phuhāreṅ, aisī hī thī barsāt
khud se judā aur jag se parāe, ham donoṅ the sāth
phir se vo sāvan ab kyoṅ na āe?

dil ke mere pās ho itnī, phir bhī ho kitnī dūr
tum mujhse, maiṅ dil se pareśhān, donoṅ haiṅ majbūr
aise meṅ kis ko kaun manāe?