maiṅ rājā tū rānī
tū rājā maiṅ rānī
maiṅ premangar kā rājā tū rūpangar kī rānī
rahe na duniyā rahegī terī-merī kahānī
maiṅ rājā tū …
kab se dhartī ambar jhūm rahā hai jāne
rāhī nae haiṅ rāste sadiyoṅ purāne
ye hī hai merī prīt jo prītam sabse purānī
maiṅ rājā tū …
khilne kā jinko armān hotā hai
har us kalī pe ye ġhumān hotā hai
tere-mere pyār kī hai ye koī niśhānī
maiṅ rājā tū …
kaun se chāṇd-sitāre ham jāne kaun haiṅ
kis nadiyā ke dhāre ham jāne kaun haiṅ
jo bhī haiṅ ik jān haiṅ donoṅ ek zindgānī
maiṅ rājā tū …