Dil too bhee gaa pyaar men muskraa

दिल तू भी गा प्यार में मुस्करा
Work
Year
Language

दिल तू भी गा प्यार में मुस्करा
सपने में जो आते हैं अकसर
महफ़िल में उनको बुला के ला
दिल तू भी गा
कल जो हुआ सो हुआ भूल जा

वो भी न बोले हम भी न बोले आँख मिली पहचान हुई
कोई चला जब साथ सफ़र में हमको डगर आसान हुई

रूप-नगर की भीड़ में हमने ख़ुद को भुलाना सीख लिया है

दर्द बला का दर्द है लेकिन होश नहीं तो कुछ भी नहीं
आज जहाँ को हम दुनिया को छोड़ के आए दूर कहीं

dil tū bhī gā pyār meṅ muskrā
sapne meṅ jo āte haiṅ akasar
mahafil meṅ unko bulā ke lā
dil tū bhī gā
kal jo huā so huā bhūl jā

vo bhī na bole ham bhī na bole āṇkh milī pahchān huī
koī chalā jab sāth safar meṅ hamko ḍagar āsān huī

rūp-nagar kī bhīṛ meṅ hamne khud ko bhulānā sīkh liyā hai

dard balā kā dard hai lekin hośh nahīṅ to kuchh bhī nahīṅ
āj jahāṇ ko ham duniyā ko chhoṛ ke āe dūr kahīṅ