Dil teraa hai deevaanaa ... kaan ke neeche bajaa daaloongaa

दिल तेरा है दीवाना ... कान के नीचे बजा डालूँगा
Year
Language

दिल तेरा है दीवाना तू मेरी है दीवानी
मैं आशिक़ हूँ मस्ताना दुनिया से तू बेगानी
हाँ अपनी मोहब्बत में आए कोई
बीच में हर पल सताए कोई
कान के नीचे बजा डालूँगा
खर्चा पानी उसको दे डालूँगा

हे love का ये पहला कदम है
संग तेरे जीना सौ सौ जनम है
दीवारें हज़ारों सनम हैं
मैं तेरी हूँ तू मेरा फिर क्‌या ग़म है
कबाब में हड्डी बन जाए कोई
लाल रंग का signal दिखाए कोई
कान के नीचे …

इश्क़ के आलम में क्‌या होता है
बस प्यार में ये दिल जागे न सोता है
अरे घूर के जो देखे तेरी जानां को
वो आज क्‌या उम्र भर रोता है
फूलों में काँटा आए कोई
hero को झाँसा दे जाए कोई
कान के नीचे …

dil terā hai dīvānā tū merī hai dīvānī
maiṅ āśhiq hūṇ mastānā duniyā se tū begānī
hāṇ apnī mohabbat meṅ āe koī
bīch meṅ har pal satāe koī
kān ke nīche bajā ḍālūṇgā
kharchā pānī usko de ḍālūṇgā

he love kā ye pahlā kadam hai
saṅg tere jīnā sau sau janam hai
dīvāreṅ hazāroṅ sanam haiṅ
maiṅ terī hūṇ tū merā phir k‌yā ġham hai
kabāb meṅ haḍḍī ban jāe koī
lāl raṅg kā signal dikhāe koī
kān ke nīche …

iśhq ke ālam meṅ k‌yā hotā hai
bas pyār meṅ ye dil jāge na sotā hai
are ghūr ke jo dekhe terī jānāṅ ko
vo āj k‌yā umr bhar rotā hai
phūloṅ meṅ kāṇṭā āe koī
hero ko jhāṇsā de jāe koī
kān ke nīche …