Is dil se teree yaad bhulaaee naheen jaatee

इस दिल से तेरी याद भुलाई नहीं जाती
Work
Language

इस दिल से तेरी याद भुलाई नहीं जाती
ये प्यार की दौलत है लुटाई नहीं जाती

किस दिल से ये कहते हो तुम्हें दिल से भुला दूँ
तुम्हें दिल से भुला दूँ
हर रोज़ तो ये दुनिया बसाई नहीं जाती

मर मर के बनाई थी जो तसवीर-ए-मुहब्बत
जो तस्वीर-ए-मुहब्बत
अब अपने ही हाथों से मिटई नहीं जाती

ले जायें ज़माने में कहाँ दिल की लगी को
कहाँ दिल की लगी को
अश्क़ों से तो ये आग बुझाई नहीं जाती

is dil se terī yād bhulāī nahīṅ jātī
ye pyār kī daulat hai luṭāī nahīṅ jātī

kis dil se ye kahte ho tumheṅ dil se bhulā dūṇ
tumheṅ dil se bhulā dūṇ
har roz to ye duniyā basāī nahīṅ jātī

mar mar ke banāī thī jo tasvīr-e-muhabbat
jo tasvīr-e-muhabbat
ab apne hī hāthoṅ se miṭaī nahīṅ jātī

le jāyeṅ zamāne meṅ kahāṇ dil kī lagī ko
kahāṇ dil kī lagī ko
aśhqoṅ se to ye āg bujhāī nahīṅ jātī