Dil sajan jaltaa hai

दिल सजन जलता है
Work
Year
Language

ला ला …

दिल सजन जलता है, ये बदन जलता है
लगी दिल की लगी हुई कब से है जानी
जब से लगा कहीं पे दिल तब से है जानी
दिल सजन जलता है …

चली हवा ये कैसी फूलों की गलियों में
शबनम के गिरने से आग लगे कलियों में
हो, चली हवा ये कैसी फूलों की गलियों में
शबनम के गिरने से आग लगे कलियों में
ये चमन जलता है, ये बदन जलता है …

प्यार का रंग लगा है जब से मेरी बिंदिया में
ये धरती जलती है सपनों में निंदिया में
हो, प्यार का रंग लगा है जब से मेरी बिन्दिया में
ये धरती जलती है सपनों में निन्दिया में
ये गगन जलता है, ये बदन जलता है …

lā lā …

dil sajan jaltā hai, ye badan jaltā hai
lagī dil kī lagī huī kab se hai jānī
jab se lagā kahīṅ pe dil tab se hai jānī
dil sajan jaltā hai …

chalī havā ye kaisī phūloṅ kī galiyoṅ meṅ
śhabnam ke girne se āg lage kaliyoṅ meṅ
ho, chalī havā ye kaisī phūloṅ kī galiyoṅ meṅ
śhabnam ke girne se āg lage kaliyoṅ meṅ
ye chaman jaltā hai, ye badan jaltā hai …

pyār kā raṅg lagā hai jab se merī biṅdiyā meṅ
ye dhartī jaltī hai sapnoṅ meṅ niṅdiyā meṅ
ho, pyār kā raṅg lagā hai jab se merī bindiyā meṅ
ye dhartī jaltī hai sapnoṅ meṅ nindiyā meṅ
ye gagan jaltā hai, ye badan jaltā hai …