chāṇd ne kuchh kahā, rāt ne kuchh sunā
tū bhī sun bekhabar, pyār kar, pyār kar
āī hai chāṇdnī, mujhse kahne yahī
merī galī, mere ghar, pyār kar, pyār kar
kyā kahūṇ kyā patā, bāt kyā ho gaī
dillgī ye mere sāth kyā ho gaī
ek iśhārā hai ye, dil pūkārā hai ye
isse chūrā nā najar, pyār kar, pyār kar
hai kaun kyā khabar, koī to hai magar
sapnoṅ meṅ hai kahīṅ, ātā nahīṅ najar
maiṅ yahāṇ, vo vahāṇ, ā rahī phir yahāṇ
āvāj kiskī magar, pyār kar, pyār kar
jis pe ham mar miṭe, usko patā bhī nahīṅ
kyā gilā ham kare, vo bevphā bhī nahīṅ
hamne jo sun liyā, usne kahā bhī nahīṅ
ai dil jarā sochkar, pyār kar, pyār kar