Dil paagal hai deevaanaa hai ye pyaar karegaa

दिल पागल है दीवाना है ये प्यार करेगा
Work
Year
Language

दिल पागल है दीवाना है ये प्यार करेगा
ये कब डरा है दुनिया से जो अब डरेगा
ये प्यार में धड़का है ये प्यार से धड़केगा
ये कब डरा है …

दिल तख्त-ओ-ताज की परवाह नहीं करता
रस्म-ओ-रिवाज की परवाह नहीं करता
दौलत से खरीदोगे तो इंकार करेगा
ये कब डरा है …

फ़लक रोके ज़मीं रोके मगर हम रुक न पाएंगे
दीवारें तोड़ के सारी हम तुमसे मिलने आएंगे
मोहब्बत झुक नहीं सकती ज़माने के झुकाने से
मोहब्बत मिट नहीं सकती ज़माने के मिटाने से
कहता नहीं है दिल करेगा दिखाएगा
तूफ़ां में चाहत की शमा जलाएगा
ये जुर्म दिल तो सौ बार करेगा
ये कब डरा है …

dil pāgal hai dīvānā hai ye pyār karegā
ye kab ḍarā hai duniyā se jo ab ḍaregā
ye pyār meṅ dhaṛkā hai ye pyār se dhaṛkegā
ye kab ḍarā hai …

dil takht-o-tāj kī parvāh nahīṅ kartā
rasm-o-rivāj kī parvāh nahīṅ kartā
daulat se kharīdoge to iṅkār karegā
ye kab ḍarā hai …

falak roke zamīṅ roke magar ham ruk na pāeṅge
dīvāreṅ toṛ ke sārī ham tumse milne āeṅge
mohabbat jhuk nahīṅ saktī zamāne ke jhukāne se
mohabbat miṭ nahīṅ saktī zamāne ke miṭāne se
kahtā nahīṅ hai dil karegā dikhāegā
tūfāṅ meṅ chāhat kī śhamā jalāegā
ye jurm dil to sau bār karegā
ye kab ḍarā hai …