Dil ne phir yaad kiyaa bevafaa laut bhee aa

दिल ने फिर याद किया बेवफ़ा लौट भी आ
Work
Year
Language

दिल ने फिर याद किया, बेवफ़ा लौट भी आ
बेवफ़ा लौट भी आ, बेवफ़ा लौट भी आ

दिल में फिर हूक उठी, दिल का फिर ख़ून हुआ
दिल ने फिर याद किया, बेवफ़ा लौट भी आ

मैंने इक ख़्वाब सा देखा था जो पूरा ना हुआ
मुझ को दुनिया से शिकायत है ना क़िस्मत से गिला
आसरा दे के मुहब्बत ने मुझे लूट लिया
बेवफ़ा लौट भी आ …

हाए क्‌या जल गया सीने से जो उठता है धुआँ
डर है इस आग में जल जाए ना उल्फ़त का निशाँ
रुठने वाले मुहब्बत को मुसीबत ना बना
बेवफ़ा लौट भी आ …

dil ne phir yād kiyā, bevafā lauṭ bhī ā
bevafā lauṭ bhī ā, bevafā lauṭ bhī ā

dil meṅ phir hūk uṭhī, dil kā phir khūn huā
dil ne phir yād kiyā, bevafā lauṭ bhī ā

maiṅne ik khvāb sā dekhā thā jo pūrā nā huā
mujh ko duniyā se śhikāyat hai nā qismat se gilā
āsrā de ke muhabbat ne mujhe lūṭ liyā
bevafā lauṭ bhī ā …

hāe k‌yā jal gayā sīne se jo uṭhtā hai dhuāṇ
ḍar hai is āg meṅ jal jāe nā ulfat kā niśhāṇ
ruṭhne vāle muhabbat ko musībat nā banā
bevafā lauṭ bhī ā …