Choree choree sataane lagaa ... lamhaa haseen pyaar kaa dil ne phir yaad kiyaa

चोरी चोरी सताने लगा ... लम्हा हसीन प्यार का दिल ने फिर याद किया
Year
Language

दिल ने फिर याद किया
चोरी चोरी सताने लगा रातों को भी जगाने लगा
लम्हा हसीन प्यार का दिल ने फिर याद किया

चारों तरफ़ ख़ुमार है मौसम भी बेकरार है
बहके हुए ख्यालों पे अब ना इख़्तियार है
लम्हा हसीन प्यार का …

छाया अजब सुरूर है सारे गमों से दूर है
मस्ती में है ये ज़िंदगी कुछ तो हुआ ज़रूर है
धीरे धीरे जलाने लगा नींदों को भी चुराने लगा
लम्हा हसीन प्यार का …

dil ne phir yād kiyā
chorī chorī satāne lagā rātoṅ ko bhī jagāne lagā
lamhā hasīn pyār kā dil ne phir yād kiyā

chāroṅ taraf khumār hai mausam bhī bekrār hai
bahke hue khyāloṅ pe ab nā ikhtiyār hai
lamhā hasīn pyār kā …

chhāyā ajab surūr hai sāre gamoṅ se dūr hai
mastī meṅ hai ye ziṅdgī kuchh to huā zarūr hai
dhīre dhīre jalāne lagā nīṅdoṅ ko bhī churāne lagā
lamhā hasīn pyār kā …