दिल मेरा आज खो गया है कहीं
दिल मेरा आज खो गया है कहीं
आपके पाँव के नीचे तो नहीं
यूँ नज़र फेर के मत जाइए रुकिए तो ज़रा
आपको मेरी क़सम ठहरिए सुनिए तो ज़रा
है जहाँ आप मेरा दिल है वहीं
आपके पाँव के …
किस तरह दिल की मैं तौहीन गंवारा कर लूँ
आपकी भोली निगाहों पे भरोसा कर लूँ
दिल चुराता नहीं है कौन कहीं
आपके पाँव के …
दिल चुराया हो तो पहलू में छुपाए रखिए
ज़िन्दगी भर मुझे दीवाना बनाए रखिए
लेकिन एक बार दिला दीजिए यक़ीं
आपके पाँव के …
dil merā āj kho gayā hai kahīṅ
āpke pāṇv ke nīche to nahīṅ
yūṇ nazar pher ke mat jāie rukie to zarā
āpko merī qasam ṭhahrie sunie to zarā
hai jahāṇ āp merā dil hai vahīṅ
āpke pāṇv ke …
kis tarah dil kī maiṅ tauhīn gaṅvārā kar lūṇ
āpkī bholī nigāhoṅ pe bharosā kar lūṇ
dil churātā nahīṅ hai kaun kahīṅ
āpke pāṇv ke …
dil churāyā ho to pahlū meṅ chhupāe rakhie
zindgī bhar mujhe dīvānā banāe rakhie
lekin ek bār dilā dījie yaqīṅ
āpke pāṇv ke …