मु: दिल में ऐ जी दिल में कोई रहता है रहता है
कौन है बतलाओ सपना है कि अपना है
ऐ जी दिल में कोई …
ल: दिल में ऐ जी दिल में वही रहता है रहता है
जो कोई अपना है और जीवन का सपना है
ऐ जी दिल में कोई …
मु: ये नयन हमसे ही मगर क्यूँ बेगाने से
फ़ासले बढ़ते हैं क्यों और क़रीब आने से -2
ल: दूरी ऐ जी दूरी बस इतनी है इतनी है
फ़ासला छाया का अपने तन से जितना है
मु: ऐ जी दिल में कोई …
मु: लाज तो रख लोगी अधूरी सी इन बातों की
तोड़ तो ना दोगी ज़ंजीर मुलाकातों की -2
ल: हाय री मेरी मुश्क़िल तुम क्या जानो क्या जानो
सामने आना भी घूँघट में भी छिपना है
मु: ऐ जी दिल में कोई …
दो: ऐ जी दिल में कोई …
mu: dil meṅ ai jī dil meṅ koī rahtā hai rahtā hai
kaun hai batlāo sapnā hai ki apnā hai
ai jī dil meṅ koī …
la: dil meṅ ai jī dil meṅ vahī rahtā hai rahtā hai
jo koī apnā hai aur jīvan kā sapnā hai
ai jī dil meṅ koī …
mu: ye nayan hamse hī magar kyūṇ begāne se
fāsle baṛhte haiṅ kyoṅ aur qarīb āne se -2
la: dūrī ai jī dūrī bas itnī hai itnī hai
fāslā chhāyā kā apne tan se jitnā hai
mu: ai jī dil meṅ koī …
mu: lāj to rakh logī adhūrī sī in bātoṅ kī
toṛ to nā dogī zaṅjīr mulākātoṅ kī -2
la: hāy rī merī muśhqil tum kyā jāno kyā jāno
sāmne ānā bhī ghūṇghaṭ meṅ bhī chhipnā hai
mu: ai jī dil meṅ koī …
do: ai jī dil meṅ koī …