Dil men ab yoon tere bhoole hue gham aate hain

दिल में अब यूँ तेरे भूले हुए ग़म आते हैं
Work
Language

दिल में अब यूँ तेरे भूले हुए ग़म आते हैं
जैसे बिछड़े हुए क़ाबे में सनम आते हैं

रक़्स-ए-मै तेज़ करो, साज़ की लय तेज़ करो
सू-ए-मैखाना सब सफ़ीराना विरान-ए-हरम आते हैं
दिल में अब यूँ तेरे भूले हुए ग़म आते हैं …

और कुछ देर न गुज़रे शब-ए-फ़ुर्क़त से कहो
दिल भी कम दुखता है, वो याद भी कम आते हैं
दिल में अब यूँ तेरे भूले हुए ग़म आते हैं …

कुछ हम ही को नहीं एहसान उठाने का दमार
वो तो जब आते हैं माईल्फ़-अ-क़रम आते हैं
दिल में अब यूँ तेरे भूले हुए ग़म आते हैं …

dil meṅ ab yūṇ tere bhūle hue ġham āte haiṅ
jaise bichhaṛe hue qābe meṅ sanam āte haiṅ

raqs-e-mai tez karo, sāz kī lay tez karo
sū-e-maikhānā sab safīrānā virān-e-haram āte haiṅ
dil meṅ ab yūṇ tere bhūle hue ġham āte haiṅ …

aur kuchh der na guzre śhab-e-furqat se kaho
dil bhī kam dukhtā hai, vo yād bhī kam āte haiṅ
dil meṅ ab yūṇ tere bhūle hue ġham āte haiṅ …

kuchh ham hī ko nahīṅ ehsān uṭhāne kā damār
vo to jab āte haiṅ māīlf-a-qaram āte haiṅ
dil meṅ ab yūṇ tere bhūle hue ġham āte haiṅ …