Dil men ab dard-e-muhabbat ke sivaa kuchh bhee naheen

दिल में अब दर्द-ए-मुहब्बत के सिवा कुछ भी नहीं
Language

दिल में अब दर्द-ए-मुहब्बत के सिवा कुछ भी नहीं
ज़िन्दगी मेरी इबादत के सिवा कुछ भी नहीं

मैं तेरी बरह-गह-ए-नाज़ में क्‌या पेश करूं
मेरी झोली में मुहब्बत के सिवा कुछ भी नहीं

ऐ खुदा मुझसे ना ले मेरे गुनाहों का हिसाब
मेरे पास अश्क़-ए-नदमत के सिवा कुछ भी नहीं

वो तो मिट कर मुझ को मिल ही गयी राहत वरना
ज़िन्दगी रन्ज़-ओ-मुसीबत के सिवा कुछ भी नहीं

dil meṅ ab dard-e-muhabbat ke sivā kuchh bhī nahīṅ
zindgī merī ibādat ke sivā kuchh bhī nahīṅ

maiṅ terī barah-gah-e-nāz meṅ k‌yā peśh karūṅ
merī jholī meṅ muhabbat ke sivā kuchh bhī nahīṅ

ai khudā mujhse nā le mere gunāhoṅ kā hisāb
mere pās aśhq-e-nadamat ke sivā kuchh bhī nahīṅ

vo to miṭ kar mujh ko mil hī gayī rāhat varnā
zindgī ranz-o-musībat ke sivā kuchh bhī nahīṅ