Dil le gayee le gayee

दिल ले गयी ले गयी
Year
Language

तूरू रूतू तूरू रू रू

मुझको हुई न खबर
चोरी चोरी छुप छुप कर
कब प्यार की पहली नज़र, हाय्!
ले गयी ले गयी, दिल ले गयी ले गयी

प्यार की पहली पहली इस आँख मिचौली में
बिन सोचे जा बैठी मैं नैनों की डोली में
अभी लगता है मुझको डर्र
चोरी चोरी छुप छुप कर
कब प्यार की पहली नज़र, हाय्!
ले गयी ले गयी, दिल ले गयी ले गयी

बिखरी बिखरी ज़ुल्फ़ें, ये बहकी बहकी चाल
हाल ये मेरा देखेंगे, पूछेंगे लोग सवाल
अब जाऊँ मैं कौसे घर
चोरी चोरी छुप छुप कर
कब प्यार की पहली नज़र, हाय्!
ले गयी ले गयी, दिल ले गयी ले गयी

tūrū rūtū tūrū rū rū

mujhko huī na khabar
chorī chorī chhup chhup kar
kab pyār kī pahlī nazar, hāy!
le gayī le gayī, dil le gayī le gayī

pyār kī pahlī pahlī is āṇkh michaulī meṅ
bin soche jā baiṭhī maiṅ nainoṅ kī ḍolī meṅ
abhī lagtā hai mujhko ḍarr
chorī chorī chhup chhup kar
kab pyār kī pahlī nazar, hāy!
le gayī le gayī, dil le gayī le gayī

bikhrī bikhrī zulfeṅ, ye bahkī bahkī chāl
hāl ye merā dekheṅge, pūchheṅge log savāl
ab jāūṇ maiṅ kause ghar
chorī chorī chhup chhup kar
kab pyār kī pahlī nazar, hāy!
le gayī le gayī, dil le gayī le gayī