Dil khush hai aaj unse mulaaqaat ho gayee

दिल खुश है आज उनसे मुलाक़ात हो गयी
Work
Year
Language

दिल खुश है आज उनसे मुलाक़ात हो गयी
गो दूर ही से बात हुई बात हो गयी

उनसे हमारा कोई त'आल्लुक़ तो बन गया
बिगड़े भी वो अगर तो बड़ी बात हो गयी

धड़कन बढ़ी तो साँस की खुशबू बिखर गयी
आँचल उड़ा तो रंग की बरसात हो गयी

जी चाहता है मान भी लें, अब ख़ुदा को हम
जिसका यकीं न था वो क़रामात हो गयी

dil khuśh hai āj unse mulāqāt ho gayī
go dūr hī se bāt huī bāt ho gayī

unse hamārā koī ta'ālluq to ban gayā
bigaṛe bhī vo agar to baṛī bāt ho gayī

dhaṛkan baṛhī to sāṇs kī khuśhbū bikhar gayī
āṇchal uṛā to raṅg kī barsāt ho gayī

jī chāhtā hai mān bhī leṅ, ab khudā ko ham
jiskā yakīṅ na thā vo qarāmāt ho gayī