Dil kee umangen hain javaan

दिल की उमंगें हैं जवाँ
Work
Year
Language

हे: दिल की उमंगें हैं जवाँ
रंग में डूबा है समा
मैं ने तुम्हें जीत लिया
हार के दोनों जहाँ

गी: आप भी गाइए ना?
क्‌या मुश्किल है? सरगम बताऊँ

प म प ध प ग स प
दिल की उमंगें हैँ जवाँ
गाइए

प्रा: दिल की उमंगें हैं जवाँ
गी: बहुत अच्छे
प्रा: रंग में डूबा है समा
गी: वाह वाह वाह

हे: दिल की उमंगें हैं जवाँ
आ हा हा हा हा हा हा
गी: गाइए गाइए गाइए
प्रा: ओ हो हो हो हो हो हो
गी: क्‌या कहने

हे: ओऽ ओऽ ओऽ ओऽ ओऽ
सदियों पुरानी ये ज़मीन
है आज कितनी हसीन
आता नहीं है यकीन
होता नहीं है बयाँ

गी: आप भी गाइए
प्रा: दिल की उमंगें हैं जवाँ
रंग में डूबा है समा
गी: जियो जियो
प्रा: मैं ने तुम्हें जीत लिया
हे: ऊँ हूँ, मैं ने तुम्हें जीत लिया
हार के दोनों जहाँ
दिल की उमंगें हैं जवाँ

भीगे नज़ारों से कहो
गाती हवाओं से कहो ओ ओ
जाती बहारों से कहो
रुक जाये आज यहाँ

दिल की उमंगें हैं जवाँ

गी: गाइए ना
क्‌या मज़ा आ रहा है
हूँ हूँ हूँ
प्रा: दिल की उमंगें हैं जवाँ
रंग में डूबा है समा
हे: मैं ने तुम्हें जीत लिया
हार के दोनों जहाँ
दिल की उमंगें हैं जवाँ

हे: ओऽ ओऽ ओऽ ओऽ ओऽ
गी: हूँ हूँ हूँ
बेचैन तन्हाइयाँ
लेती हैं अन्गड़ाइयाँ
हल्की सी शहनाइयाँ
बजती हैं जाने कहाँ

गाइए न एक बार और

प्रा: दिल की उमंगें हैं जवाँ
रंग में डूबा है समा

हे: मैंने तुम्हें जीत लिया
हार के दोनों जहाँ

गी: आइए न आप भी नाचिये

हे, गी: दिल की उमंगें हैं जवाँ
रंग में डूबा है समा
हे: मैं ने तुम्हें जीत लिया
गी: ऊँ, हूँ मैं ने तुम्हें जीत लिया
हे, गी: हार के दोनों जहाँ

he: dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ
raṅg meṅ ḍūbā hai samā
maiṅ ne tumheṅ jīt liyā
hār ke donoṅ jahāṇ

gī: āp bhī gāie nā?
k‌yā muśhkil hai? sargam batāūṇ

pa ma pa dha pa ga sa pa
dil kī umaṅgeṅ haiṇ javāṇ
gāie

prā: dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ
gī: bahut achchhe
prā: raṅg meṅ ḍūbā hai samā
gī: vāh vāh vāh

he: dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ
ā hā hā hā hā hā hā
gī: gāie gāie gāie
prā: o ho ho ho ho ho ho
gī: k‌yā kahne

he: o' o' o' o' o'
sadiyoṅ purānī ye zamīn
hai āj kitnī hasīn
ātā nahīṅ hai yakīn
hotā nahīṅ hai bayāṇ

gī: āp bhī gāie
prā: dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ
raṅg meṅ ḍūbā hai samā
gī: jiyo jiyo
prā: maiṅ ne tumheṅ jīt liyā
he: ūṇ hūṇ, maiṅ ne tumheṅ jīt liyā
hār ke donoṅ jahāṇ
dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ

bhīge nazāroṅ se kaho
gātī havāoṅ se kaho o o
jātī bahāroṅ se kaho
ruk jāye āj yahāṇ

dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ

gī: gāie nā
k‌yā mazā ā rahā hai
hūṇ hūṇ hūṇ
prā: dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ
raṅg meṅ ḍūbā hai samā
he: maiṅ ne tumheṅ jīt liyā
hār ke donoṅ jahāṇ
dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ

he: o' o' o' o' o'
gī: hūṇ hūṇ hūṇ
bechain tanhāiyāṇ
letī haiṅ angaṛāiyāṇ
halkī sī śhahnāiyāṇ
bajtī haiṅ jāne kahāṇ

gāie na ek bār aur

prā: dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ
raṅg meṅ ḍūbā hai samā

he: maiṅne tumheṅ jīt liyā
hār ke donoṅ jahāṇ

gī: āie na āp bhī nāchiye

he, gī: dil kī umaṅgeṅ haiṅ javāṇ
raṅg meṅ ḍūbā hai samā
he: maiṅ ne tumheṅ jīt liyā
gī: ūṇ, hūṇ maiṅ ne tumheṅ jīt liyā
he, gī: hār ke donoṅ jahāṇ