Dil ke sannaate khol kabhee

दिल के सन्नाटे खोल कभी
Work
Year
Language

दिल के सन्नाटे खोल कभी
तन्हाई तू भी बोल कभी
परछाईयां चुनता रहता है
क्‌यूँ रिश्ते बुनता रहता है
ओ इन वादों के पीछे कोई नहीं
क्‌यूँ वादे बुनता रहता है
दिल के सन्नाटे खोल …

बुझ जाएँगी सारी आवाज़ें
यादें यादें रह जाएँगी
ओ तस्वीरें बचेंगी आँखों में
और बातें सब बह जाएँगी
दिल के सन्नाटे खोल …

dil ke sannāṭe khol kabhī
tanhāī tū bhī bol kabhī
parchhāīyāṅ chuntā rahtā hai
k‌yūṇ riśhte buntā rahtā hai
o in vādoṅ ke pīchhe koī nahīṅ
k‌yūṇ vāde buntā rahtā hai
dil ke sannāṭe khol …

bujh jāeṇgī sārī āvāzeṅ
yādeṅ yādeṅ rah jāeṇgī
o tasvīreṅ bacheṅgī āṇkhoṅ meṅ
aur bāteṅ sab bah jāeṇgī
dil ke sannāṭe khol …