Dil ke aaeene men tasveer teree rahtee hai

दिल के आईने में तस्वीर तेरी रहती है
Year
Language

दिल के आईने में तस्वीर तेरी रहती है
मैं ये समझा कोई जन्नत की परी रहती है
दिल के आईने में …

शरबती आँखें तेरी ज़िन्दगी भर का नशा
दिल की धड़कन है मेरी तेरी पायल की सदा ऐ जान-ए-वफ़ा
दिल के आईने में …

सोचता हूँ मैं कभी क्‌या तुझे भी है ख़बर
कि तेरी एक नज़र है मेरी शाम-ओ-सहर
तू बहारों का है दिल तू नज़ारों का जिगर ऐ जान-ए-वफ़ा
दिल के आईने में …

हुस्न-ए-मासूम तेरा कभी मग़रूर न हो
अपनी तारीफ़ तुझे कभी मंज़ूर न हो
इश्क़ वालों से जफ़ा तेरा दस्तूर न हो ऐ जान-ए-वफ़ा
दिल के आईने में …

dil ke āīne meṅ tasvīr terī rahtī hai
maiṅ ye samjhā koī jannat kī parī rahtī hai
dil ke āīne meṅ …

śharabtī āṇkheṅ terī zindgī bhar kā naśhā
dil kī dhaṛkan hai merī terī pāyal kī sadā ai jān-e-vafā
dil ke āīne meṅ …

sochtā hūṇ maiṅ kabhī k‌yā tujhe bhī hai khabar
ki terī ek nazar hai merī śhām-o-sahar
tū bahāroṅ kā hai dil tū nazāroṅ kā jigar ai jān-e-vafā
dil ke āīne meṅ …

husn-e-māsūm terā kabhī maġhrūr na ho
apnī tārīf tujhe kabhī maṅzūr na ho
iśhq vāloṅ se jafā terā dastūr na ho ai jān-e-vafā
dil ke āīne meṅ …