Dil kahtaa hai jo chaahen ham vo karen

दिल कहता है जो चाहें हम वो करें
Work
Year
Language

दिल कहता है जो चाहें हम वो करें
दिल कहता है कहता है जो चाहें हम वो करें
हम ना कोई बात सुनें
जो चाहें राह चुनें
दुनिया से हम क्‌यूँ डरें
दिल हे कहता है कहता है …

खुशियाँ हमारे लिए हमको नहीं कोई ग़म
मंज़िल जहाँ हर घड़ी चूमे हमारे कदम
रंग जमाएं हम जहाँ जाएं
मस्ती लुटाएं मौज मनाएं
आवारगी की कसम
सारा जहां रुक जाए अम्बर भी झुक जाए
झूम के हम जब भी चाहें
हे हे दिल कहता है जो …

पाबंद रहना यहां मंजूर हमको नहीं
आज़ाद रखना हमें कहती है ये सरज़मीं
हम तो लिखेंगे ऐसी कहानी
हमसे मिसालें देगी जवानी
हमसे है कल आज कल
साज़ों की गलियों में घुट घुट के यार मेरे
जीते जी हम क्‌यूं मरें
दिल कहता है कहता है …

dil kahtā hai jo chāheṅ ham vo kareṅ
dil kahtā hai kahtā hai jo chāheṅ ham vo kareṅ
ham nā koī bāt suneṅ
jo chāheṅ rāh chuneṅ
duniyā se ham k‌yūṇ ḍareṅ
dil he kahtā hai kahtā hai …

khuśhiyāṇ hamāre lie hamko nahīṅ koī ġham
maṅzil jahāṇ har ghaṛī chūme hamāre kadam
raṅg jamāeṅ ham jahāṇ jāeṅ
mastī luṭāeṅ mauj manāeṅ
āvārgī kī kasam
sārā jahāṅ ruk jāe ambar bhī jhuk jāe
jhūm ke ham jab bhī chāheṅ
he he dil kahtā hai jo …

pābaṅd rahnā yahāṅ maṅjūr hamko nahīṅ
āzād rakhnā hameṅ kahtī hai ye sarazmīṅ
ham to likheṅge aisī kahānī
hamse misāleṅ degī javānī
hamse hai kal āj kal
sāzoṅ kī galiyoṅ meṅ ghuṭ ghuṭ ke yār mere
jīte jī ham k‌yūṅ mareṅ
dil kahtā hai kahtā hai …