Dil kaa diyaa jalaa ke gayaa

दिल का दिया जला के गया
Work
Year
Language

(दिल का दिया जला के गया,
ये कौन मेरी तन्हाई में) -2
सोये नग़मे जाग उठे, होंठों की सेहनाई में
दिल का दिया …

(प्यार अरमानों का दर खटकाए
ख़्वाब जागी आँखों से मिलने को आये)-2
कितने साये डोल पड़े, सूनी सी अंगनाई में
दिल का दिया …

(एक ही नज़र में निखर गई मैं तो,
आइना जो देखा संवर गई मैं तो)-2
तन पे उजाला फैल गया, पहली ही अंगड़ाई में
दिल का दिया …

(काँपते लबों को मैं खोल रही हूँ,
बोल वही जैसे के बोल रही हूँ)-2
बोल जो डूबे से हैं कहीं, इस दिल की गहराई में
दिल का दिया …

(dil kā diyā jalā ke gayā,
ye kaun merī tanhāī meṅ) -2
soye naġhme jāg uṭhe, hoṅṭhoṅ kī sehnāī meṅ
dil kā diyā …

(pyār armānoṅ kā dar khaṭkāe
khvāb jāgī āṇkhoṅ se milne ko āye)-2
kitne sāye ḍol paṛe, sūnī sī aṅgnāī meṅ
dil kā diyā …

(ek hī nazar meṅ nikhar gaī maiṅ to,
āinā jo dekhā saṅvar gaī maiṅ to)-2
tan pe ujālā phail gayā, pahlī hī aṅgaṛāī meṅ
dil kā diyā …

(kāṇpte laboṅ ko maiṅ khol rahī hūṇ,
bol vahī jaise ke bol rahī hūṇ)-2
bol jo ḍūbe se haiṅ kahīṅ, is dil kī gahrāī meṅ
dil kā diyā …