दिल का अफ़साना सुनाते हैं ... चलेंगे तीर जब दिल पर्
दिल का अफ़साना सुनाते हैं सुनाने वाले
काश समझें ना मोहब्बत को मिटाने वाले
प्यार का नाम भी लेते हुए डर लगता है
तीर खेंचे हुए बैठे हैं ज़माने वाले
चलेंगे तीर जब दिल पर तो अरमानों का क्या होगा
तुटेगा घर तो फिर इस घर के मेहमानों का क्या होगा
सुना है इश्क़ में आते हैं दिन आहों के नालों के
अभी तक तो सलामत है गरेबाँ इश्क़ वालों के
अगर फ़सल-ए-बहार आई तो दीवानों का क्या होगा
चलेंगे तीर जब …
उठा है शोर-ए-मातम शमा तेरे जाँ-निसारों में
अभी तो दिल ही जलते हैं मोहब्बत के शरारों में
किसी ने पर जला डाले तो परवानों का क्या होगा
चलेंगे तीर जब …
अधूरे हैं अभी पूरे नहीं किस्से मोहब्बत के
अभी तो दिल में पोशीदाँ हैं अफ़साने क़यामत के
हक़ीक़त हो गई ज़ाहिर तो अफ़सानों का क्या होगा
चलेंगे तीर जब …
सुना है जाम-ए-उल्फ़त में बला का जोश है साक़ी
अभी तो दिल है क़ाबू में अभी तो होश है बाक़ी
अगर पी कर बहक उठे तो मस्तानों का क्या होगा
चलेंगे तीर जब …
dil kā afsānā sunāte haiṅ sunāne vāle
kāśh samjheṅ nā mohabbat ko miṭāne vāle
pyār kā nām bhī lete hue ḍar lagtā hai
tīr kheṅche hue baiṭhe haiṅ zamāne vāle
chaleṅge tīr jab dil par to armānoṅ kā kyā hogā
tuṭegā ghar to phir is ghar ke mehmānoṅ kā kyā hogā
sunā hai iśhq meṅ āte haiṅ din āhoṅ ke nāloṅ ke
abhī tak to salāmat hai garebāṇ iśhq vāloṅ ke
agar fasal-e-bahār āī to dīvānoṅ kā kyā hogā
chaleṅge tīr jab …
uṭhā hai śhor-e-mātam śhamā tere jāṇ-nisāroṅ meṅ
abhī to dil hī jalte haiṅ mohabbat ke śharāroṅ meṅ
kisī ne par jalā ḍāle to parvānoṅ kā kyā hogā
chaleṅge tīr jab …
adhūre haiṅ abhī pūre nahīṅ kisse mohabbat ke
abhī to dil meṅ pośhīdāṇ haiṅ afsāne qayāmat ke
haqīqat ho gaī zāhir to afsānoṅ kā kyā hogā
chaleṅge tīr jab …
sunā hai jām-e-ulfat meṅ balā kā jośh hai sāqī
abhī to dil hai qābū meṅ abhī to hośh hai bāqī
agar pī kar bahak uṭhe to mastānoṅ kā kyā hogā
chaleṅge tīr jab …