Dil jo naa kah sakaa, vahee raaz-e-dil, kahne kee raat

दिल जो ना कह सका, वही राज़-ए-दिल, कहने की रात्
Year
Language

दिल जो ना कह सका
वोही राज़-ए-दिल कहने की रात आई
दिल जो ना कह सका

तौबा ये किस ने अंजुमन सजा के
टुकड़े किये हैं गुंच-ए-वफ़ा के - 2
उछालो गुलों के टुकड़े
के रंगीं फ़िज़ाओं में रहने की रात आई
दिल जो ना कह सका

चलिये मुबारक ये जश्न दोस्ती का
दामन तो थामा आप ने किसी का - 2
हमें तो खुशी यही है
तुम्हें भी किसी को अपना कहने की रात आई
दिल जो ना कह सका

सागर उठाओ दिल का किस को ग़म है
आज दिल की क़ीमत जाम से भी कम है - 2
पियो चाहे खून-ए-दिल हो
के पीते पिलाते ही रहने की रात आई
दिल जो ना कह सका

dil jo nā kah sakā
vohī rāz-e-dil kahne kī rāt āī
dil jo nā kah sakā

taubā ye kis ne aṅjuman sajā ke
ṭukaṛe kiye haiṅ guṅch-e-vafā ke - 2
uchhālo guloṅ ke ṭukaṛe
ke raṅgīṅ fizāoṅ meṅ rahne kī rāt āī
dil jo nā kah sakā

chaliye mubārak ye jaśhn dostī kā
dāman to thāmā āp ne kisī kā - 2
hameṅ to khuśhī yahī hai
tumheṅ bhī kisī ko apnā kahne kī rāt āī
dil jo nā kah sakā

sāgar uṭhāo dil kā kis ko ġham hai
āj dil kī qīmat jām se bhī kam hai - 2
piyo chāhe khūn-e-dil ho
ke pīte pilāte hī rahne kī rāt āī
dil jo nā kah sakā