Dil jab se toot gayaa kaise kahen kaise jeete hain

दिल जब से टूट गया कैसे कहें कैसे जीते हैं
Work
Year
Language

दिल जब से टूट गया कैसे कहें कैसे जीते हैं
कभी ज्यादा कभी कम पीते हैं

जान-ए-वफ़ा जाने न तू ज़ख्मों को हम कैसे सीते हैं
कैसे तेरे बिना हम जीते हैं

जाम का है सहारा वरना क्‌या है हमारा
ये दवा जो न पीते हम भला कैसे जीते
देखें मुड़के जहाँ है वहाँ बेबसी
बेखुदी बन गई अब मेरी ज़िंदगी
साथ तेरा छूट गया कैसे कहें कैसे जीते हैं
कभी ज्यादा कभी कम …

तुझ पे करके भरोसा हमने खाया है धोखा
पहले जो जान जाते तुझसे दिल न लगाते
अपनी हर आरज़ू आँसुओं में ढली
दर्द की आग में हर तमन्ना जली
किसको पता किसको खबर ज़ख्मों को हम कैसे सीते हैं
कभी ज्यादा कभी कम …

dil jab se ṭūṭ gayā kaise kaheṅ kaise jīte haiṅ
kabhī jyādā kabhī kam pīte haiṅ

jān-e-vafā jāne na tū zakhmoṅ ko ham kaise sīte haiṅ
kaise tere binā ham jīte haiṅ

jām kā hai sahārā varnā k‌yā hai hamārā
ye davā jo na pīte ham bhalā kaise jīte
dekheṅ muṛke jahāṇ hai vahāṇ bebsī
bekhudī ban gaī ab merī ziṅdgī
sāth terā chhūṭ gayā kaise kaheṅ kaise jīte haiṅ
kabhī jyādā kabhī kam …

tujh pe karke bharosā hamne khāyā hai dhokhā
pahle jo jān jāte tujhse dil na lagāte
apnī har ārazū āṇsuoṅ meṅ ḍhalī
dard kī āg meṅ har tamannā jalī
kisko patā kisko khabar zakhmoṅ ko ham kaise sīte haiṅ
kabhī jyādā kabhī kam …