दिल इंसान का एक तराजू ... के आजा तेरी याद आई
आ: दिल इंसान का एक तराजू जो इंसाफ़ को तौले
अपनी जगह पर प्यार है क़ायम धरती-अम्बर डोले
सबसे बड़ा सच एक जगत में भेद अनेक जो खोले
प्रेम बिना जीवन सूना ये पागल प्रेमी बोले
ल: के आजा तेरी याद आई
ओ बालम हरजाई
के आजा तेरी …
ज़ालिम कितनी देर लगा दी तुमने आते-आते
अब आए हो अब न आते तो हम जान से जाते
दिल दीवाना दीवाने को हम कैसे समझाते
कहते राम-दुहाई
के आजा तेरी …
र: फ़ुरसत भी है मौसम भी है मन है रंगरलियों में
छुप गई है तू ख़ुश्बू बन के शायद इन कलियों में
मैने तुझको कितना ढूँढा आवारा गलियों में
ये आवाज़ लगाई
के आजा तेरी …
ल: मस्त हवा ने बात कोई कह दी कानों में
जैसे कोई मदिरा भर दे खाली पैमानों में
तड़पाया आज मचलते दिल के अरमानों ने
रुत ने ली अंगड़ाई
के आजा तेरी …
ā: dil iṅsān kā ek tarājū jo iṅsāf ko taule
apnī jagah par pyār hai qāyam dhartī-ambar ḍole
sabse baṛā sach ek jagat meṅ bhed anek jo khole
prem binā jīvan sūnā ye pāgal premī bole
la: ke ājā terī yād āī
o bālam harjāī
ke ājā terī …
zālim kitnī der lagā dī tumne āte-āte
ab āe ho ab na āte to ham jān se jāte
dil dīvānā dīvāne ko ham kaise samjhāte
kahte rām-duhāī
ke ājā terī …
ra: furasat bhī hai mausam bhī hai man hai raṅgarliyoṅ meṅ
chhup gaī hai tū khuśhbū ban ke śhāyad in kaliyoṅ meṅ
maine tujhko kitnā ḍhūṇḍhā āvārā galiyoṅ meṅ
ye āvāz lagāī
ke ājā terī …
la: mast havā ne bāt koī kah dī kānoṅ meṅ
jaise koī madirā bhar de khālī paimānoṅ meṅ
taṛpāyā āj machalte dil ke armānoṅ ne
rut ne lī aṅgaṛāī
ke ājā terī …