Dil hee dil men ... meraa kangnaa jhaanjhar

दिल ही दिल में ... मेरा कंगना झांझर्
Work
Year
Language

दिल ही दिल में प्यार की बातें कब तक उन्हें छुपाएगी
कर ले तू इकरार प्यार का वरना पकड़ी जाएगी

मेरा कंगना झांझर चूड़ी खन खन करती है
मेरे यार दीवानी लड़की तुझ पे मरती है
तेरा कंगना झांझर चूड़ी खन खन करती है
ये सबको पता है यार तू मुझ पे मरती है
मेरा कंगना …

गली गली गूंज रही हैं तेरे प्यार की खबरें
चारों तरफ़ हैं चर्चे तेरे बोल कहां से गुज़रें
कभी किसी के प्यार की कलियाँ इधर उधर ना बिखरें
मैने बहुत छुपाया लेकिन कह गईं सब कुछ नज़रें
तूने प्यार किया है फिर इतना क्‌यूं डरती है
मेरा कंगना …

धीरे धीरे खींच रहा है तू साँसों की डोरी
ना जाने कब तुमने कर ली मेरे दिल की चोरी
मेरे गले का हार बनेंगी बाहें गोरी गोरी
बड़े प्यार से रंग दूंगा मैं तेरी उमरिया कोरी
तू रंग दे मुझको मेरी तमन्ना करती है
मेरा कंगना …

dil hī dil meṅ pyār kī bāteṅ kab tak unheṅ chhupāegī
kar le tū ikrār pyār kā varnā pakaṛī jāegī

merā kaṅgnā jhāṅjhar chūṛī khan khan kartī hai
mere yār dīvānī laṛkī tujh pe martī hai
terā kaṅgnā jhāṅjhar chūṛī khan khan kartī hai
ye sabko patā hai yār tū mujh pe martī hai
merā kaṅgnā …

galī galī gūṅj rahī haiṅ tere pyār kī khabreṅ
chāroṅ taraf haiṅ charche tere bol kahāṅ se guzreṅ
kabhī kisī ke pyār kī kaliyāṇ idhar udhar nā bikhreṅ
maine bahut chhupāyā lekin kah gaīṅ sab kuchh nazreṅ
tūne pyār kiyā hai phir itnā k‌yūṅ ḍartī hai
merā kaṅgnā …

dhīre dhīre khīṅch rahā hai tū sāṇsoṅ kī ḍorī
nā jāne kab tumne kar lī mere dil kī chorī
mere gale kā hār baneṅgī bāheṅ gorī gorī
baṛe pyār se raṅg dūṅgā maiṅ terī umriyā korī
tū raṅg de mujhko merī tamannā kartī hai
merā kaṅgnā …