Dil hamne diyaa hai ... tujhe pyaar hamne kiyaa hai

दिल हमने दिया है ... तुझे प्यार हमने किया है
Work
Year
Language

कु: दिल हमने दिया है इकरार हमने किया है -2
जान-ए-तमन्ना जान-ए-ज़माना
के तुझे प्यार हमने किया है
अ: दिल हमने दिया है …
कु: दिल हमने दिया है …

चेहरा तेरा फूलों से हसीं है दीवाने दिल ने कहा
तुझसे प्यारा कोई नहीं है सुन ले ओ जान-ए-अदा
तुझे देखें तुझे चाहें तेरा दीदार
सौ सौ बार हम तो यार करेंगे
अ: दिल हमने दिया है …
कु: दिल हमने दिया है …

अ: साँसों में तूफ़ानों को छुपाया हमने किया इंतज़ार
तूने हमको सीने से लगाया तब जा के आया क़रार
ख़फ़ा न हो कभी दिलबर
मोहब्बत पे हमेशा हम तो एतबार करेंगे
कु: दिल हमने दिया है …
अ: दिल हमने दिया है …

ku: dil hamne diyā hai ikrār hamne kiyā hai -2
jān-e-tamannā jān-e-zamānā
ke tujhe pyār hamne kiyā hai
a: dil hamne diyā hai …
ku: dil hamne diyā hai …

chehrā terā phūloṅ se hasīṅ hai dīvāne dil ne kahā
tujhse pyārā koī nahīṅ hai sun le o jān-e-adā
tujhe dekheṅ tujhe chāheṅ terā dīdār
sau sau bār ham to yār kareṅge
a: dil hamne diyā hai …
ku: dil hamne diyā hai …

a: sāṇsoṅ meṅ tūfānoṅ ko chhupāyā hamne kiyā iṅtazār
tūne hamko sīne se lagāyā tab jā ke āyā qarār
khafā na ho kabhī dilbar
mohabbat pe hameśhā ham to etbār kareṅge
ku: dil hamne diyā hai …
a: dil hamne diyā hai …