Dil hai ke maantaa naheen

दिल है के मानता नहीं
Year
Language

दिल है के मानता नहीं
मुश्किल बड़ी है रस्म-ए-मोहब्बत ये जानता ही नहीं
दिल है के मानता नहीं
ये बेकरारी क्यो हो रही है, ये जानता ही नहीं

दिल तो ये चाहे, हर पल तुम्हे हम बस यूँ ही देखा करे
मर के भी हम ना तुमसे जुदा हो, आओ कुछ ऐसा करे
मुझ में समा जा, आ पास आ जा, हमदम मेरे हमनशी
दिल है के मानता नहीं

हम तो मोहब्बत करते हैं तुम से, हमको हैं बस इतनी खबर
तनहा हमारा मुश्किल था जीना, तुम जो ना मिलते अगर
बेताब साँसे, बेचैन आँखे कहने लगी बस यही
दिल है के मानता नहीं

dil hai ke māntā nahīṅ
muśhkil baṛī hai rasm-e-mohabbat ye jāntā hī nahīṅ
dil hai ke māntā nahīṅ
ye bekrārī kyo ho rahī hai, ye jāntā hī nahīṅ

dil to ye chāhe, har pal tumhe ham bas yūṇ hī dekhā kare
mar ke bhī ham nā tumse judā ho, āo kuchh aisā kare
mujh meṅ samā jā, ā pās ā jā, hamdam mere hamanśhī
dil hai ke māntā nahīṅ

ham to mohabbat karte haiṅ tum se, hamko haiṅ bas itnī khabar
tanhā hamārā muśhkil thā jīnā, tum jo nā milte agar
betāb sāṇse, bechain āṇkhe kahne lagī bas yahī
dil hai ke māntā nahīṅ