दिल है ऐसा राही ... मैं क्या करूं क्या करूं
दिल है ऐसा राही जिसने मंज़िल को ही नहीं जाना
तन्हा तन्हा घूम रहा है कबसे ये दीवाना
मैं क्या करूं क्या करूं
हैरानी में हूँ कैसे कहूं
क्या ग़म है मुझे क्या खो गया
सब तो है वही फिर है क्या कमी
ऐ दिल ये तुझे क्या हो गया
मैं क्या करूं …
मैने क्या किया दिन में सो गया
अब जागा हूँ मैं तो रात है
कोई साथ था जब वो जा चुका
याद आई मुझे इक बात है
मैं क्या करूं …
dil hai aisā rāhī jisne maṅzil ko hī nahīṅ jānā
tanhā tanhā ghūm rahā hai kabse ye dīvānā
maiṅ kyā karūṅ kyā karūṅ
hairānī meṅ hūṇ kaise kahūṅ
kyā ġham hai mujhe kyā kho gayā
sab to hai vahī phir hai kyā kamī
ai dil ye tujhe kyā ho gayā
maiṅ kyā karūṅ …
maine kyā kiyā din meṅ so gayā
ab jāgā hūṇ maiṅ to rāt hai
koī sāth thā jab vo jā chukā
yād āī mujhe ik bāt hai
maiṅ kyā karūṅ …