Dil dhoondhtaa hai sahaare-sahaare

दिल ढूँढता है सहारे-सहारे
Work
Year
Language

दिल ढूँढता है सहारे-सहारे -2
लुटे दिल के अरमां बुझे नैन तारे
दिल ढूँढता है …

ये क्‌या दौर आया कि बदली बहारें
हुए ग़ैर वो भी किसे हम पुकारें
वो कहते थे हमसे कि हम हैं तुम्हारे
दिल ढूँढता है …

वफ़ा इस जहाँ में कहीं भी न पाई
हुई दूर मंज़िल घटा ग़म की छाई
हैं काजल से काले अजब दिन हमारे
दिल ढूँढता है …

बनी मेरे दिल पर ये तस्वीर तेरी
तुझे फिर न पाया ये तक़दीर मेरी
नहीं कोई अपना रहे बेसहारे
लुटे दिल के अरमाँ …

dil ḍhūṇḍhtā hai sahāre-sahāre -2
luṭe dil ke armāṅ bujhe nain tāre
dil ḍhūṇḍhtā hai …

ye k‌yā daur āyā ki badlī bahāreṅ
hue ġhair vo bhī kise ham pukāreṅ
vo kahte the hamse ki ham haiṅ tumhāre
dil ḍhūṇḍhtā hai …

vafā is jahāṇ meṅ kahīṅ bhī na pāī
huī dūr maṅzil ghaṭā ġham kī chhāī
haiṅ kājal se kāle ajab din hamāre
dil ḍhūṇḍhtā hai …

banī mere dil par ye tasvīr terī
tujhe phir na pāyā ye taqdīr merī
nahīṅ koī apnā rahe beshāre
luṭe dil ke armāṇ …