Dil dhoondhtaa hai, phir vahee, fursat ke raat din

दिल ढूँढता है, फिर वही, फ़ुर्सत के रात दिन्
Work
Year
Language

दिल ढूँढता है फिर वही फ़ुरसत के रात दिन - (2)
बैठे रहे तसव्वुर-ए-जानाँ किये हुए
दिल ढूँढता है फिर वही फ़ुरसत के रात दिन्…

जाड़ों की नर्म धूप और आँगन में लेट कर - (2)
आँखों पे खींचकर तेरे आँचल के साए को
औंधे पड़े रहे कभी करवट लिये हुए
दिल ढूँढता है फिर वही फ़ुरसत के रात दिन्…

या गरमियों की रात जो पुरवाईयाँ चलें - (2)
ठंडी सफ़ेद चादरों पे जागें देर तक
तारों को देखते रहें छत पर पड़े हुए
दिल ढूँढता है फिर वही फ़ुरसत के रात दिन्…

बर्फ़ीली सर्दियों में किसी भी पहाड़ पर - (2)
वादी में गूँजती हुई खामोशियाँ सुनें
आँखों में भीगे भीगे से लम्हे लिये हुए
दिल ढूँढता है फिर वही फ़ुरसत के रात दिन्…

dil ḍhūṇḍhtā hai phir vahī furasat ke rāt din - (2)
baiṭhe rahe tasavvur-e-jānāṇ kiye hue
dil ḍhūṇḍhtā hai phir vahī furasat ke rāt din…

jāṛoṅ kī narm dhūp aur āṇgan meṅ leṭ kar - (2)
āṇkhoṅ pe khīṅchkar tere āṇchal ke sāe ko
auṅdhe paṛe rahe kabhī karavaṭ liye hue
dil ḍhūṇḍhtā hai phir vahī furasat ke rāt din…

yā garmiyoṅ kī rāt jo purvāīyāṇ chaleṅ - (2)
ṭhaṅḍī safed chādroṅ pe jāgeṅ der tak
tāroṅ ko dekhte raheṅ chhat par paṛe hue
dil ḍhūṇḍhtā hai phir vahī furasat ke rāt din…

barfīlī sardiyoṅ meṅ kisī bhī pahāṛ par - (2)
vādī meṅ gūṇjtī huī khāmośhiyāṇ suneṅ
āṇkhoṅ meṅ bhīge bhīge se lamhe liye hue
dil ḍhūṇḍhtā hai phir vahī furasat ke rāt din…