दिल ढूँढे है इधर ... कहे उजाला कहे अंधेरा
दिल ढूँढे है इधर कोई दे खबर यार की
ले जाए ना ये राह धुंध में कहीं प्यार की
हो कानों में ये सदा कह गई क्या कुछ सुना
मुझको ना है खबर तुझको जो कुछ है पता सनम बता
कहे उजाला कहे अंधेरा आज यहाँ कुछ होना है
धुआँ धुआँ इस तन्हाई में पाना है कुछ खोना है
क़ातिल हैं नज़रें बच के रहना
दिल ढूँढे है …
कोई यहाँ है ख्यालों में किसी के अरमां जवां
कोई उलझे सवालों में कोई तो है बदगुमां
क्या हुआ है न जाने आँखों में छा रहा नशा
कहे उजाला कहे …
पूछो न ये आग कैसी है शरारों से तन जले
प्यास थोड़ी बुझाने दे लगा ले आके गले
हाँ दर्द बढ़ता ही जाए साँसों में क्या ज़हर घुला
कहे उजाला कहे …
dil ḍhūṇḍhe hai idhar koī de khabar yār kī
le jāe nā ye rāh dhuṅdh meṅ kahīṅ pyār kī
ho kānoṅ meṅ ye sadā kah gaī kyā kuchh sunā
mujhko nā hai khabar tujhko jo kuchh hai patā sanam batā
kahe ujālā kahe aṅdherā āj yahāṇ kuchh honā hai
dhuāṇ dhuāṇ is tanhāī meṅ pānā hai kuchh khonā hai
qātil haiṅ nazreṅ bach ke rahnā
dil ḍhūṇḍhe hai …
koī yahāṇ hai khyāloṅ meṅ kisī ke armāṅ javāṅ
koī uljhe savāloṅ meṅ koī to hai badgumāṅ
kyā huā hai na jāne āṇkhoṅ meṅ chhā rahā naśhā
kahe ujālā kahe …
pūchho na ye āg kaisī hai śharāroṅ se tan jale
pyās thoṛī bujhāne de lagā le āke gale
hāṇ dard baṛhtā hī jāe sāṇsoṅ meṅ kyā zahar ghulā
kahe ujālā kahe …