Dil detaa hai ro ro duhaaee, kisee se koee pyaar naa kare

दिल देता है रो रो दुहाई, किसी से कोई प्यार ना करे
Year
Language

दिल देता है रो रो दुहाई, किसी से कोई प्यार ना करे
बड़ी महंगी पड़ेगी जुदाई, किसी से कोई प्यार ना करे

कोई समजे किसी को ना अपना, झूठा निकलेगा जीवन का सपना
गाँव गाँव पुकारे शहनाई, किसी से कोई प्यार ना करे

सेज पे बैठी रोये सजनीया, भा गयी साजना को सौतनियाँ
हाय, निकला बालम हरजाई, किसी से कोई प्यार ना करे

प्यार ने कुछ तो पागल बनाया, और कुछ जिन्दगी ने भी सताया
खूब अपनी हुयी जग हँसाई, किसी से कोई प्यार ना करे

dil detā hai ro ro duhāī, kisī se koī pyār nā kare
baṛī mahaṅgī paṛegī judāī, kisī se koī pyār nā kare

koī samje kisī ko nā apnā, jhūṭhā niklegā jīvan kā sapnā
gāṇv gāṇv pukāre śhahnāī, kisī se koī pyār nā kare

sej pe baiṭhī roye sajnīyā, bhā gayī sājnā ko sautniyāṇ
hāy, niklā bālam harjāī, kisī se koī pyār nā kare

pyār ne kuchh to pāgal banāyā, aur kuchh jindgī ne bhī satāyā
khūb apnī huyī jag hṇsāī, kisī se koī pyār nā kare