jise ḍhūṇḍhtā hūṇ maiṅ har kahīṅ
jo kabhī milī mujhe hai nahīṅ
mujhe jis ke pyār par ho yakīṅ
vo laṛkī hai kahāṇ
jise sirf mujh se hī pyār ho
jo ye kahne ko taiyār ho
suno tum hī mere dildār ho
vo laṛkī hai kahāṇ
jo tumhāre khvāboṅ meṅ hai basī
vo hasīn mūrti pyār kī
milegī tumheṅ kabhī nā kabhī
zarā dekho yahāṇ vahāṇ
chalo ḍhūṇḍhte haiṅ ham tum yahīṅ
vo parī vo hūr vo nāznīṅ
jise dekho to kaho tum vahīṅ
are ye to hai yahāṇ
jāne kyūṇ khayāl āyā mujhe
ki vo laṛkī kahīṅ tum to nahīṅ
tum meṅ haiṅ vo sārī khūbiyāṇ
jin ko ḍhūṇḍhtā maiṅ har kahīṅ
tumheṅ dhokhā lagtā hai ho gayā
mujhe hai samajh liyā jāne kyā
nā maiṅ hūṇ parī nā maiṅ apsrā
karo tum nā ye ġhumāṇ
jise ḍhūṇḍhtā hūṇ …
he he he he he he he he
mān lo agar maiṅ ye kahūṇ
ke mere khvāboṅ meṅ tum hī to ho
jān lo merā armān hai
ke mere sāth hī ab tum raho
mujhe tumne kyā ye samjhā diyā
mere dil ko jaise dhaṛkā diyā
mere tan badan ko pighlā diyā
vo sunāī dāstāṇ
jise ḍhūṇḍhtā hūṇ maiṅ har kahīṅ
jo kabhī milī mujhe hai nahīṅ
mujhe jiske pyār par ho yakīṅ
vo laṛkī hai kahāṇ
vo laṛkī hai yahāṇ
he he he he he he he he