Dil aisaa kisee ne meraa todaa, barbaadee kee taraph aisaa modaa

दिल ऐसा किसी ने मेरा तोडा, बरबादी की तरफ ऐसा मोडा
Work
Year
Language

दिल ऐसा किसी ने मेरा तोड़ा, बरबादी की तरफ ऐसा मोड़ा
एक भले मानुष को, अमानुष बना के छोड़ा

सागर कितना मेरे पास है, मेरे जीवन में फिर भी प्यास है
है प्यास बड़ी जीवन थोड़ा, अमानुष बना के छोड़ा

कहते हैं ये दुनिया के रास्ते, कोई मंज़िल नहीं तेरे वास्ते
नाकामियों से नाता मेरा जोड़ा, अमानुष बना के छोड़ा

डूबा सूरज फिर से निकले, रहता नहीं है अंधेरा
मेरा सूरज ऐसा रूठा, देखा न मैने सवेरा
उजालों ने साथ मेरा छोड़ा, अमानुष बना के छोड़ा

dil aisā kisī ne merā toṛā, barbādī kī taraph aisā moṛā
ek bhale mānuṣh ko, amānuṣh banā ke chhoṛā

sāgar kitnā mere pās hai, mere jīvan meṅ phir bhī pyās hai
hai pyās baṛī jīvan thoṛā, amānuṣh banā ke chhoṛā

kahte haiṅ ye duniyā ke rāste, koī maṅzil nahīṅ tere vāste
nākāmiyoṅ se nātā merā joṛā, amānuṣh banā ke chhoṛā

ḍūbā sūraj phir se nikle, rahtā nahīṅ hai aṅdherā
merā sūraj aisā rūṭhā, dekhā na maine saverā
ujāloṅ ne sāth merā chhoṛā, amānuṣh banā ke chhoṛā