धूप में निकलो घटाओं में नहाकर देखो
धूप में निकलो घटाओं में नहाकर देखो
ज़िन्दगी क्या है किताबों को हटाकर देखो
वो सितारा चमकने दो यूँही आँखों में
क्या ज़रूरी है उसे जिस्म बनाकर देखो
पत्थरों में भी ज़ुबां होती है, दिल होता है
अपने घर के दर-ओ-दीवार सजाकर देखो
फ़ासिला नज़रों का धोखा भी तो हो सकता है
वो मिले या ना मिले हाथ बढ़ाकर देखो
dhūp meṅ niklo ghaṭāoṅ meṅ nahākar dekho
zindgī kyā hai kitāboṅ ko haṭākar dekho
vo sitārā chamakne do yūṇhī āṇkhoṅ meṅ
kyā zarūrī hai use jism banākar dekho
patthroṅ meṅ bhī zubāṅ hotī hai, dil hotā hai
apne ghar ke dar-o-dīvār sajākar dekho
fāsilā nazroṅ kā dhokhā bhī to ho saktā hai
vo mile yā nā mile hāth baṛhākar dekho